be-had bechaini hai lekin maqsad zaahir kuch bhi nahin | बे-हद बेचैनी है लेकिन मक़्सद ज़ाहिर कुछ भी नहीं - Deepti Mishra

be-had bechaini hai lekin maqsad zaahir kuch bhi nahin
paana khona hansna rona kya hai aakhir kuch bhi nahin

apni apni qismat sab ki apna apna hissa hai
jism ki khaatir laakhon saamaan rooh ki khaatir kuch bhi nahin

us ki baazi us ke mohre us ki chaalein us ki jeet
us ke aage saare qadir maahir shaatir kuch bhi nahin

us ka hona ya na hona khud mein ujaagar hota hai
gar vo hai to bheetar hi hai warna b-zaahir kuch bhi nahin

duniya se jo paaya us ne duniya hi ko saunp diya
ghazlein nazmein duniya ki hain kya hai shaair kuch bhi nahin

बे-हद बेचैनी है लेकिन मक़्सद ज़ाहिर कुछ भी नहीं
पाना खोना हँसना रोना क्या है आख़िर कुछ भी नहीं

अपनी अपनी क़िस्मत सब की अपना अपना हिस्सा है
जिस्म की ख़ातिर लाखों सामाँ रूह की ख़ातिर कुछ भी नहीं

उस की बाज़ी उस के मोहरे उस की चालें उस की जीत
उस के आगे सारे क़ादिर माहिर शातिर कुछ भी नहीं

उस का होना या ना होना ख़ुद में उजागर होता है
गर वो है तो भीतर ही है वर्ना ब-ज़ाहिर कुछ भी नहीं

दुनिया से जो पाया उस ने दुनिया ही को सौंप दिया
ग़ज़लें नज़्में दुनिया की हैं क्या है शाइर कुछ भी नहीं

- Deepti Mishra
1 Like

Jeet Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepti Mishra

As you were reading Shayari by Deepti Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Deepti Mishra

Similar Moods

As you were reading Jeet Shayari Shayari