vo nahin mera magar us se mohabbat hai to hai | वो नहीं मेरा मगर उस से मोहब्बत है तो है

  - Deepti Mishra

vo nahin mera magar us se mohabbat hai to hai
ye agar rasmon rivaajon se bagaavat hai to hai

sach ko main ne sach kaha jab kah diya to kah diya
ab zamaane kii nazar mein ye himaqat hai to hai

kab kaha main ne ki vo mil jaaye mujh ko main use
gair na ho jaaye vo bas itni hasrat hai to hai

jal gaya parwaana gar to kya khata hai sham'a kii
raat bhar jalna jalana us kii qismat hai to hai

dost ban kar dushmanon sa vo sataata hai mujhe
phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai

door the aur door hain har dam zameen-o-aasman
dooriyon ke baad bhi dono mein qurbat hai to hai

वो नहीं मेरा मगर उस से मोहब्बत है तो है
ये अगर रस्मों रिवाजों से बग़ावत है तो है

सच को मैं ने सच कहा जब कह दिया तो कह दिया
अब ज़माने की नज़र में ये हिमाक़त है तो है

कब कहा मैं ने कि वो मिल जाए मुझ को मैं उसे
ग़ैर न हो जाए वो बस इतनी हसरत है तो है

जल गया परवाना गर तो क्या ख़ता है शम्अ' की
रात भर जलना जलाना उस की क़िस्मत है तो है

दोस्त बन कर दुश्मनों सा वो सताता है मुझे
फिर भी उस ज़ालिम पे मरना अपनी फ़ितरत है तो है

दूर थे और दूर हैं हर दम ज़मीन-ओ-आसमाँ
दूरियों के बाद भी दोनों में क़ुर्बत है तो है

  - Deepti Mishra

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepti Mishra

As you were reading Shayari by Deepti Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Deepti Mishra

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari