kabhi ye zindagi achhi-bhali bhi guzri thi
hamaare honton se ya'ni hasi bhi guzri thi
abhi sukoot hai sehraa hai dhool udti hai
inheen do aankhon se pehle nadi bhi guzri thi
tamaam lafzon ki sargoshiyaan suni shab bhar
sadaaein deti hui shaayri bhi guzri thi
har ek raah mein har lahza dhoondhta hoon main
yahan se ishq ki sankari gali bhi guzri thi
mujhe hi baat nahin karne thi koi warna
mere qareeb se kal zindagi bhi guzri thi
jahaan pe zindagi baithi hai paanv faila kar
usi gali se kabhi khud-kushi bhi guzri thi
abhi to sirf guzarti hai mujh pe tanhaai
kabhi mujhi se tumhaari kami bhi guzri thi
कभी ये ज़िंदगी अच्छी-भली भी गुज़री थी
हमारे होंटों से या'नी हँसी भी गुज़री थी
अभी सुकूत है सेहरा है धूल उड़ती है
इन्हीं दो आँखों से पहले नदी भी गुज़री थी
तमाम लफ़्ज़ों की सरगोशियाँ सुनीं शब भर
सदाएँ देती हुई शाइरी भी गुज़री थी
हर एक राह में हर लहज़ा ढूँढता हूँ मैं
यहाँ से इश्क़ की संकरी गली भी गुज़री थी
मुझे ही बात नहीं करनी थी कोई वर्ना
मिरे क़रीब से कल ज़िंदगी भी गुज़री थी
जहाँ पे ज़िंदगी बैठी है पाँव फैला कर
उसी गली से कभी ख़ुद-कुशी भी गुज़री थी
अभी तो सिर्फ़ गुज़रती है मुझ पे तन्हाई
कभी मुझी से तुम्हारी कमी भी गुज़री थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Urdu Shayari Shayari