hum apne aap ko itna badal nahin sakte | हम अपने आप को इतना बदल नहीं सकते - Dheerendra Singh Faiyaz

hum apne aap ko itna badal nahin sakte
tumhaare kehne se chehra badal nahin sakte

badalna chahein agar kya badal nahin sakte
magar jo haal hai dil ka badal nahin sakte

tumhaare vaaste ya'ni badal chuke hain bahut
ab aur khud ko ziyaada badal nahin sakte

ajeeb log hain duniya badalna chahte hain
magar vo khud ko zara sa badal nahin sakte

dare hue hain samundar meri rawaani se
magar vo chaah ke rasta badal nahin sakte

hamaari zaat ko muddat mein ye hua hai naseeb
ab apne jeene ka lahja badal nahin sakte

alaava dukh ke tiri qismaton mein hum bhi hain
naseeb tera lihaaza badal nahin sakte

vo ek dooje se aankhen badalte rahte hain
jo log roz ka rona badal nahin sakte

badal raha hai ravayya zara zara hi sahi
ab ek din mein to saara badal nahin sakte

हम अपने आप को इतना बदल नहीं सकते
तुम्हारे कहने से चेहरा बदल नहीं सकते

बदलना चाहें अगर क्या बदल नहीं सकते
मगर जो हाल है दिल का बदल नहीं सकते

तुम्हारे वास्ते या'नी बदल चुके हैं बहुत
अब और ख़ुद को ज़ियादा बदल नहीं सकते

अजीब लोग हैं दुनिया बदलना चाहते हैं
मगर वो ख़ुद को ज़रा सा बदल नहीं सकते

डरे हुए हैं समुंदर मिरी रवानी से
मगर वो चाह के रस्ता बदल नहीं सकते

हमारी ज़ात को मुद्दत में ये हुआ है नसीब
अब अपने जीने का लहजा बदल नहीं सकते

अलावा दुख के तिरी क़िस्मतों में हम भी हैं
नसीब तेरा लिहाज़ा बदल नहीं सकते

वो एक दूजे से आँखें बदलते रहते हैं
जो लोग रोज़ का रोना बदल नहीं सकते

बदल रहा है रवय्या ज़रा ज़रा ही सही
अब एक दिन में तो सारा बदल नहीं सकते

- Dheerendra Singh Faiyaz
0 Likes

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dheerendra Singh Faiyaz

As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Writers

our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari