tire khayal ka kuchh bhi pata nahin padta
yahan to chaaron taraf dayra nahin padta
ham ehtiyaat se khwaabon ko maar dete agar
hamaari aankh mein ye aablaa nahin padta
ajeeb raah padi hai ki is ke aage ab
kisi bhi samt koi raasta nahin padta
hamaare khwaab ki ta'beer ho gai hoti
kisi mein aur koi sochna nahin padta
vo raah-e-ishq mein daakhil nahin hue honge
jo bolte hain wahan haadisa nahin padta
girah to roz hi pad jaati hai khayaalon mein
mere mizaaj ka par zaviya nahin padta
tamaam umr tumheen tum likhe gaye hote
hamaari soch mein gar haashiya nahin padta
तिरे ख़याल का कुछ भी पता नहीं पड़ता
यहाँ तो चारों तरफ़ दायरा नहीं पड़ता
हम एहतियात से ख़्वाबों को मार देते अगर
हमारी आँख में ये आबला नहीं पड़ता
अजीब राह पड़ी है कि इस के आगे अब
किसी भी सम्त कोई रास्ता नहीं पड़ता
हमारे ख़्वाब की ता'बीर हो गई होती
किसी में और कोई सोचना नहीं पड़ता
वो राह-ए-इश्क़ में दाख़िल नहीं हुए होंगे
जो बोलते हैं वहाँ हादिसा नहीं पड़ता
गिरह तो रोज़ ही पड़ जाती है ख़यालों में
मिरे मिज़ाज का पर ज़ाविया नहीं पड़ता
तमाम उम्र तुम्हीं तुम लिखे गए होते
हमारी सोच में गर हाशिया नहीं पड़ता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari