mere khayal mein thi mere haafeze mein thi | मिरे ख़याल में थी मेरे हाफ़िज़े में थी - Dheerendra Singh Faiyaz

mere khayal mein thi mere haafeze mein thi
ajeeb shay thi magar phir bhi faasle mein thi

badan se jaan to kab ki juda hui ya'ni
hamaari saans abhi tak mughalte mein thi

hamaari neend jo bahki to ye khula hum par
hamaari aankh tire khwaab ke nashe mein thi

vo baat hi nahin jaanaan kisi tasavvur mein
jo ek baat faqat tujh ko sochne mein thi

so aaj tod diya aur ho gaye tanhaa
tamaam roz se ik shakl aaine mein thi

na aate sach mein magar khwaab mein to aana tha
dar-asl raat meri neend aasre mein thi

मिरे ख़याल में थी मेरे हाफ़िज़े में थी
अजीब शय थी मगर फिर भी फ़ासले में थी

बदन से जान तो कब की जुदा हुई या'नी
हमारी साँस अभी तक मुग़ालते में थी

हमारी नींद जो बहकी तो ये खुला हम पर
हमारी आँख तिरे ख़्वाब के नशे में थी

वो बात ही नहीं जानाँ किसी तसव्वुर में
जो एक बात फ़क़त तुझ को सोचने में थी

सो आज तोड़ दिया और हो गए तन्हा
तमाम रोज़ से इक शक्ल आइने में थी

न आते सच में मगर ख़्वाब में तो आना था
दर-अस्ल रात मिरी नींद आसरे में थी

- Dheerendra Singh Faiyaz
0 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dheerendra Singh Faiyaz

As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Writers

our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari