sukh isee ek baat ka hai mujhe | सुख इसी एक बात का है मुझे - Dheerendra Singh Faiyaz

sukh isee ek baat ka hai mujhe
mera baatin hi aaina hai mujhe

in se izhaar ki tavakko hai
teri aankhon mein dekhna hai mujhe

aap ka hijr aakhiri dukh hai
aap ka ishq doosra hai mujhe

saans-dar-saans kar raha hoon ada
aur ye zindagi bhi kya hai mujhe

mujh ko awaaz ab nahin darkaar
meri khaamoshi hi sada hai mujhe

kaam duniya ke kar liye saare
mahaj ab us ko bhoolna hai mujhe

ek mujh mein hai mubtala duniya
aadmi kitna sochta hai mujhe

ya'ni beenaai tak chali jaaye
yahi rone ki intiha hai mujhe

सुख इसी एक बात का है मुझे
मेरा बातिन ही आइना है मुझे

इन से इज़हार की तवक़्क़ो है
तेरी आँखों में देखना है मुझे

आप का हिज्र आख़िरी दुख है
आप का इश्क़ दूसरा है मुझे

साँस-दर-साँस कर रहा हूँ अदा
और ये ज़िंदगी भी क्या है मुझे

मुझ को आवाज़ अब नहीं दरकार
मेरी ख़ामोशी ही सदा है मुझे

काम दुनिया के कर लिए सारे
महज़ अब उस को भूलना है मुझे

एक मुझ में है मुब्तला दुनिया
आदमी कितना सोचता है मुझे

या'नी बीनाई तक चली जाए
यही रोने की इंतिहा है मुझे

- Dheerendra Singh Faiyaz
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dheerendra Singh Faiyaz

As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Writers

our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari