vo to itna hi kare aap ka chehra dekhe
ishq jab hone lage daud ke duniya dekhe
aankh khul jaaye to vo tera hi rasta dekhe
aankh lag jaaye to vo khwaab bhi tera dekhe
main bhala us ke bharose pe kahaan tak jaata
raah mein jis ne shajar mujh se ziyaada dekhe
jo zabaan waala hai chup-chaap nikal jaaye aur
jo nazar waala hai vo sirf tamasha dekhe
duniyadari se bahalte nahin deewane log
shiddat-e-pyaas to har samt hi dariya dekhe
warna ik umr hui bheed mein hanste ham ko
us ki qismat jo hamein saamne rota dekhe
vo kabhi chaand sa khil jaaye meri khidki par
mujh ko muddat hui raaton mein ujaala dekhe
वो तो इतना ही करे आप का चेहरा देखे
इश्क़ जब होने लगे दौड़ के दुनिया देखे
आँख खुल जाए तो वो तेरा ही रस्ता देखे
आँख लग जाए तो वो ख़्वाब भी तेरा देखे
मैं भला उस के भरोसे पे कहाँ तक जाता
राह में जिस ने शजर मुझ से ज़ियादा देखे
जो ज़बाँ वाला है चुप-चाप निकल जाए और
जो नज़र वाला है वो सिर्फ़ तमाशा देखे
दुनिया-दारी से बहलते नहीं दीवाने लोग
शिद्दत-ए-प्यास तो हर सम्त ही दरिया देखे
वर्ना इक उम्र हुई भीड़ में हँसते हम को
उस की क़िस्मत जो हमें सामने रोता देखे
वो कभी चाँद सा खिल जाए मिरी खिड़की पर
मुझ को मुद्दत हुई रातों में उजाला देखे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Ishaara Shayari Shayari