soch kar dekhiye kya khoob nazaara hoga | सोच कर देखिए क्या ख़ूब नज़ारा होगा - Dheerendra Singh Faiyaz

soch kar dekhiye kya khoob nazaara hoga
us ne jab rah ke mera naam pukaara hoga

hum ne socha tha ki ab gham se kinaara hoga
par kahaan thi ye khabar ishq dobara hoga

kya kahein kab se ye ummeed liye baithe hain
us ki jaanib se kabhi koi ishaara hoga

tujh ko dekhoon to koi aur nazar aata hai
tu ne us shakhs ko din raat guzaara hoga

shehar mein mujh sa koi aur bhi deewaana hai
hausla hijr mein vo shakhs bhi haara hoga

kis tarah us ko basaayenge zara se dil mein
sochte rahte hain jab koi hamaara hoga

सोच कर देखिए क्या ख़ूब नज़ारा होगा
उस ने जब रह के मेरा नाम पुकारा होगा

हम ने सोचा था कि अब ग़म से किनारा होगा
पर कहाँ थी ये ख़बर इश्क़ दोबारा होगा

क्या कहें कब से ये उम्मीद लिए बैठे हैं
उस की जानिब से कभी कोई इशारा होगा

तुझ को देखूँ तो कोई और नज़र आता है
तू ने उस शख़्स को दिन रात गुज़ारा होगा

शहर में मुझ सा कोई और भी दीवाना है
हौसला हिज्र में वो शख़्स भी हारा होगा

किस तरह उस को बसाएँगे ज़रा से दिल में
सोचते रहते हैं जब कोई हमारा होगा

- Dheerendra Singh Faiyaz
0 Likes

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dheerendra Singh Faiyaz

As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Writers

our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari