rakh li maathe pe shikan us ki nishaani jaise
naye ghar mein ho rakhi cheez puraani jaise
aise bhooli hai meri aankh hunar rone ka
kisi jharne se bichhad jaaye rawaani jaise
teri aankhon se bhala kaise hataaun aankhen
mujh pe khulte hi nahin in ke maani jaise
aaina kehne laga kuchh kami tujh mein bhi hai
ham ne bhi pooch dhara us se ki ya'ni jaise
vo kisi she'r mein dhal jaaye ghaneemat warna
us ko tafseel se likkhoonga kahaani jaise
ham tire hijr mein sehra ki taraf kyun bhaagen
ham ne seekhi hi nahin khaak udaani jaise
main ne har roz tujhe dil se nikala to magar
kisi dariya se nikale koi paani jaise
kya bura hai ki jo baatin hai wahi zaahir hai
ham ko aati hi nahin baat banaani jaise
रख ली माथे पे शिकन उस की निशानी जैसे
नए घर में हो रखी चीज़ पुरानी जैसे
ऐसे भूली है मिरी आँख हुनर रोने का
किसी झरने से बिछड़ जाए रवानी जैसे
तेरी आँखों से भला कैसे हटाऊँ आँखें
मुझ पे खुलते ही नहीं इन के मआ'नी जैसे
आइना कहने लगा कुछ कमी तुझ में भी है
हम ने भी पूछ धरा उस से कि या'नी जैसे
वो किसी शे'र में ढल जाए ग़नीमत वर्ना
उस को तफ़्सील से लिक्खूंगा कहानी जैसे
हम तिरे हिज्र में सहरा की तरफ़ क्यों भागें
हम ने सीखी ही नहीं ख़ाक उड़ानी जैसे
मैं ने हर रोज़ तुझे दिल से निकाला तो मगर
किसी दरिया से निकाले कोई पानी जैसे
क्या बुरा है कि जो बातिन है वही ज़ाहिर है
हम को आती ही नहीं बात बनानी जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Chehra Shayari Shayari