phir wahi shakhs mere khwaab mein aaya hoga
neend mein us ne hi aankhon ko rulaaya hoga
is amaavas mein bhi mahtaab ugaa hai ya'ni
us ne ungli se kahi chaand banaya hoga
main hi ab us ko samajh saka hoon us ko main ne
yaad karte hue kis taur bhulaaya hoga
ek muddat se hoon tanhaai-shuda kam-az-kam
phir abhi kis ne mere dil ko dukhaaya hoga
thak gaya hoga so dahshat mein hain saare panchi
aasmaan jis ne ye kandon pe uthaya hoga
vo khushi tum ne mohabbat mein ganwaai hogi
tum ne ye dukh bhi mohabbat mein ganwaaya hoga
muddatein ho gaeein tanqeed nahin karte log
kis ne aainon ko aaina dikhaaya hoga
फिर वही शख़्स मिरे ख़्वाब में आया होगा
नींद में उस ने ही आँखों को रुलाया होगा
इस अमावस में भी महताब उगा है या'नी
उस ने उँगली से कहीं चाँद बनाया होगा
मैं ही अब उस को समझ सकता हूँ उस को मैं ने
याद करते हुए किस तौर भुलाया होगा
एक मुद्दत से हूँ तन्हाई-शुदा कम-अज़-कम
फिर अभी किस ने मिरे दिल को दुखाया होगा
थक गया होगा सो दहशत में हैं सारे पंछी
आसमाँ जिस ने ये कंधों पे उठाया होगा
वो ख़ुशी तुम ने मोहब्बत में गँवाई होगी
तुम ने ये दुख भी मोहब्बत में गँवाया होगा
मुद्दतें हो गईं तन्क़ीद नहीं करते लोग
किस ने आईनों को आईना दिखाया होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Neend Shayari Shayari