kisi qalam se kisi ki zabaan se chalta hoon | किसी क़लम से किसी की ज़बाँ से चलता हूँ - Dheerendra Singh Faiyaz

kisi qalam se kisi ki zabaan se chalta hoon
main teer kis ka hoon kis ki kamaan se chalta hoon

main thak gaya hoon thehar kar kisi samundar sa
ba-rang-e-abr tire aastaan se chalta hoon

tu chhod dega adhoora mujhe kahaani mein
isee liye main tiri dastaan se chalta hoon

jo mere seene ke baayein taraf dhadakta hai
usi ke naqsh-e-qadam par wahan se chalta hoon

yahan se chalne ka matlab to aur hai lekin
main thak chuka hoon meri jaan yahan se chalta hoon

ab agar chahe to logon ke beech le aana
main aaj apne tire darmiyaan se chalta hoon

na jaane kaise safar mein hoon mubtala fayyaaz
wahin pe aata hoon waapas jahaan se chalta hoon

किसी क़लम से किसी की ज़बाँ से चलता हूँ
मैं तीर किस का हूँ किस की कमाँ से चलता हूँ

मैं थक गया हूँ ठहर कर किसी समुंदर सा
बा-रंग-ए-अब्र तिरे आस्ताँ से चलता हूँ

तू छोड़ देगा अधूरा मुझे कहानी में
इसी लिए मैं तिरी दास्ताँ से चलता हूँ

जो मेरे सीने के बाएँ तरफ़ धड़कता है
उसी के नक़्श-ए-क़दम पर वहाँ से चलता हूँ

यहाँ से चलने का मतलब तो और है लेकिन
मैं थक चुका हूँ मिरी जाँ यहाँ से चलता हूँ

अब अगर चाहे तो लोगों के बीच ले आना
मैं आज अपने तिरे दरमियाँ से चलता हूँ

न जाने कैसे सफ़र में हूँ मुब्तला 'फ़य्याज़'
वहीं पे आता हूँ वापस जहाँ से चलता हूँ

- Dheerendra Singh Faiyaz
0 Likes

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dheerendra Singh Faiyaz

As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Writers

our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari