mila na lafz-e-museebat ko sargiraani se
maani khulne nahin mere tarjumaani se
hamaari nabz mein jumbish hai paanch hijr ke ba'ad
hamaara ishq puraana hai raaegaani se
so umr bhar mein kisi ko samajh nahin aaya
juda rakha gaya mujh ko mere maani se
kabhi saraab se uthata hua hi mil jaaun
kabhi kabhi to hai mumkin miloon na paani se
lihaaza markazi kirdaar ban gaya hoon main
mujhe nikaal na paoge ab kahaani se
ba-ehtiyaat use soche ho gaya arsa
vo mere dhyaan mein aaya hai be-dhayaani se
tujhe ghazal mein pirona hai shaghl ghalib ka
ki tera naqsh banega to sirf maani se
मिला न लफ़्ज़-ए-मुसीबत को सरगिरानी से
मआ'नी खुलने नहीं मेरे तर्जुमानी से
हमारी नब्ज़ में जुम्बिश है पाँच हिज्र के बा'द
हमारा इश्क़ पुराना है राएगानी से
सो उम्र भर में किसी को समझ नहीं आया
जुदा रखा गया मुझ को मेरे मआ'नी से
कभी सराब से उठता हुआ ही मिल जाऊँ
कभी कभी तो है मुमकिन मिलूँ न पानी से
लिहाज़ा मरकज़ी किरदार बन गया हूँ मैं
मुझे निकाल न पाओगे अब कहानी से
बा-एहतियात उसे सोचे हो गया अर्सा
वो मेरे ध्यान में आया है बे-धियानी से
तुझे ग़ज़ल में पिरोना है शग़्ल ग़ालिब का
कि तेरा नक़्श बनेगा तो सिर्फ़ मा'नी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Paani Shayari Shayari