phir us ke ba'ad badan tha na jaan jaan mein thi
ajab chadhaai meri umr ki dhalaan mein thi
tumhaara aks mere aansuon mein raushan tha
tumhaari shakl bhi har waqt mere dhyaan mein thi
tamaam umr ganwa di talash mein us ki
jo ek shay na meri thi na is jahaan mein thi
mujhe bayaan bhi karti theen doosri aankhen
meri zabaan bhi shaayad kisi zabaan mein thi
vo dhoondhta tha jahaan par wahan nahin tha main
meri kahaani kisi aur daastaan mein thi
tanaab-e-ishq tire haath hi se chhooti hai
tu ek umr se mashghool kheench-taan mein thi
hamaare pairo'n se khiski hui zameen fayyaaz
utaar laaye use ham jo aasmaan mein thi
फिर उस के बा'द बदन था न जान जान में थी
अजब चढ़ाई मिरी उम्र की ढलान में थी
तुम्हारा अक्स मिरे आँसुओं में रौशन था
तुम्हारी शक्ल भी हर वक़्त मेरे ध्यान में थी
तमाम उम्र गँवा दी तलाश में उस की
जो एक शय न मिरी थी न इस जहान में थी
मुझे बयान भी करती थीं दूसरी आँखें
मिरी ज़बान भी शायद किसी ज़बान में थी
वो ढूँढता था जहाँ पर वहाँ नहीं था मैं
मिरी कहानी किसी और दास्तान में थी
तनाब-ए-इश्क़ तिरे हाथ ही से छूटी है
तू एक उम्र से मशग़ूल खींच-तान में थी
हमारे पैरों से खिसकी हुई ज़मीं 'फ़य्याज़'
उतार लाए उसे हम जो आसमान में थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Ujaala Shayari Shayari