tum ahl-e-dil ho so dil mein rakha hamaara naam | तुम अहल-ए-दिल हो सो दिल में रखा हमारा नाम - Dheerendra Singh Faiyaz

tum ahl-e-dil ho so dil mein rakha hamaara naam
vagarna hum bhi hain kya aur kya hamaara naam

har ek shakhs ke seene mein hum dhadakte hain
sabhi ke honton pe hai jaa-b-jaa hamaara naam

tamaam umr kai lafz chaak par ghume
tab ek arse mein ja kar bana hamaara naam

tumhaare kaanon ki dhalti hui gufaaon mein
ba-rang-e-roshani padta hua hamaara naam

sada kuch aur hi aayi thi us ki jaanib se
humein laga tha ki us ne liya hamaara naam

khamoshiyon ke badan par sadaaein likhni theen
ajeeb shakhs tha likhne laga hamaara naam

phir us ko sun ke bahut der tak sabhi roye
koi kahaani thi aakhir mein tha hamaara naam

तुम अहल-ए-दिल हो सो दिल में रखा हमारा नाम
वगर्ना हम भी हैं क्या और क्या हमारा नाम

हर एक शख़्स के सीने में हम धड़कते हैं
सभी के होंटों पे है जा-ब-जा हमारा नाम

तमाम उम्र कई लफ़्ज़ चाक पर घूमे
तब एक अर्से में जा कर बना हमारा नाम

तुम्हारे कानों की ढलती हुई गुफाओं में
ब-रंग-ए-रौशनी पड़ता हुआ हमारा नाम

सदा कुछ और ही आई थी उस की जानिब से
हमें लगा था कि उस ने लिया हमारा नाम

ख़मोशियों के बदन पर सदाएँ लिखनी थीं
अजीब शख़्स था लिखने लगा हमारा नाम

फिर उस को सुन के बहुत देर तक सभी रोए
कोई कहानी थी आख़िर में था हमारा नाम

- Dheerendra Singh Faiyaz
0 Likes

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dheerendra Singh Faiyaz

As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Writers

our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari