dekhte dekhte hi saal guzar jaata hai | देखते देखते ही साल गुज़र जाता है - Dheerendra Singh Faiyaz

dekhte dekhte hi saal guzar jaata hai
par tira gham hai ki badhta hai thehar jaata hai

tairti rahti hai aankhon mein tu har shab aise
jaise dariya mein koi chaand utar jaata hai

kaun us khwaab ki ta'beer pe karta hai yaqeen
khwaab jo neend se ladta hua mar jaata hai

hum ne aankhon ki zabaanon pe lagaaye hain qufl
warna dil teri hi aawaazon se bhar jaata hai

koi har roz mujhe chhod ke mar jaata hai
jaane vo kaun hai kaisa hai kidhar jaata hai

ek hi waqt mein sukhd-dukhd nahin milte mujh ko
paanv gar apne bachaaun to safar jaata hai

phir se duniya ki taraf dhyaan lagaaya hai magar
khaak itne mein tira dil se asar jaata hai

देखते देखते ही साल गुज़र जाता है
पर तिरा ग़म है कि बढ़ता है ठहर जाता है

तैरती रहती है आँखों में तू हर शब ऐसे
जैसे दरिया में कोई चाँद उतर जाता है

कौन उस ख़्वाब की ता'बीर पे करता है यक़ीं
ख़्वाब जो नींद से लड़ता हुआ मर जाता है

हम ने आँखों की ज़बानों पे लगाए हैं क़ुफ़्ल
वर्ना दिल तेरी ही आवाज़ों से भर जाता है

कोई हर रोज़ मुझे छोड़ के मर जाता है
जाने वो कौन है कैसा है किधर जाता है

एक ही वक़्त में सुख-दुख नहीं मिलते मुझ को
पाँव गर अपने बचाऊँ तो सफ़र जाता है

फिर से दुनिया की तरफ़ ध्यान लगाया है मगर
ख़ाक इतने में तिरा दिल से असर जाता है

- Dheerendra Singh Faiyaz
0 Likes

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dheerendra Singh Faiyaz

As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Writers

our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari