wahi ho ilm bhi vo hi sukhun to baat bane
ghazal ka bhi wahi ho pairhan to baat bane
faqat hai ek pareshaan to phir ye ishq nahin
jabeen pe dono ki aaye shikan to baat bane
hamaari rooh ko phir bhi badan mila hai magar
badan ko bhi mile koi badan to baat bane
ham us ki aankhon se iqaar tak pahunch gaye hain
zara sa padhne ko mil jaaye man to baat bane
bhatkte rahne se is dil ke haq mein kya hoga
kisi ke ishq mein ho ja magan to baat bane
main tere khwaab ko pahne hue hoon aankhon mein
tu meri aankh mein neenden pahan to baat bane
agarche jism ko thodi thakan si hai lekin
hamaari aankhon pe chhaaye thakan to baat bane
वही हो इल्म भी वो ही सुख़न तो बात बने
ग़ज़ल का भी वही हो पैरहन तो बात बने
फ़क़त है एक परेशाँ तो फिर ये इश्क़ नहीं
जबीं पे दोनों की आए शिकन तो बात बने
हमारी रूह को फिर भी बदन मिला है मगर
बदन को भी मिले कोई बदन तो बात बने
हम उस की आँखों से इक़रार तक पहुँच गए हैं
ज़रा सा पढ़ने को मिल जाए मन तो बात बने
भटकते रहने से इस दिल के हक़ में क्या होगा
किसी के इश्क़ में हो जा मगन तो बात बने
मैं तेरे ख़्वाब को पहने हुए हूँ आँखों में
तू मेरी आँख में नींदें पहन तो बात बने
अगरचे जिस्म को थोड़ी थकन सी है लेकिन
हमारी आँखों पे छाए थकन तो बात बने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Love Shayari Shayari