dukh sahte hain chup rahte hain
rone waalon se achhe hain
jee halka karna hi nahin hai
warna to aansu itne hain
kar lete hain aankhen patthar
mere jaise jab rote hain
jin ki umeed na ho aane ki
un ka bhi rasta takte hain
badan hoon ya main shaakh shajar ki
mujh se kitne gul lipate hain
raah mein ik bhi jism nahin hai
jaane ye kis ke saaye hain
aisi dhoop ka haasil kya hai
manzar to kaale kaale hain
दुख सहते हैं चुप रहते हैं
रोने वालों से अच्छे हैं
जी हल्का करना ही नहीं है
वर्ना तो आँसू इतने हैं
कर लेते हैं आँखें पत्थर
मेरे जैसे जब रोते हैं
जिन की उमीद न हो आने की
उन का भी रस्ता तकते हैं
बदन हूँ या मैं शाख़ शजर की
मुझ से कितने गुल लिपटे हैं
राह में इक भी जिस्म नहीं है
जाने ये किस के साए हैं
ऐसी धूप का हासिल क्या है
मंज़र तो काले काले हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Good morning Shayari Shayari