main awaam mein hoon lekin nahin khoo-e-aamiyana
na amal khushaamdaana na sukhun khushaamdaana
tiri aur zindagi hai meri aur zindagi hai
main bulandiyon ka juyaa to aseer-e-aashiyaana
mujhe raas hi na aayi kabhi naqison ki sohbat
mere jism-e-na-tavaan mein nahin rooh-e-taajiraana
mere khizr ke qadam hain mujhe mash'al-e-manaazil
mere deeda-e-talab mein hai nigaah-e-mujrimaana
gham-o-ranj ka chhupaana bhi hai kaar-e-zarf lekin
hai khushi ko zabt karna rah-o-rasm-e-aaqilaana
tiri tamkanat agar hai kisi doosre ke bal par
ye chalan hai baagiyaana ye qadam hai mujrimaana
mujhe khizr-e-nau ki haajat nahin raah-e-bandagi mein
mere maslak-e-wafa mein ye ravish hai kaafiraana
मैं अवाम में हूँ लेकिन नहीं ख़ू-ए-आमियाना
न अमल ख़ुशामदाना न सुख़न ख़ुशामदाना
तिरी और ज़िंदगी है मिरी और ज़िंदगी है
मैं बुलंदियों का जूया तो असीर-ए-आशियाना
मुझे रास ही न आई कभी नाक़िसों की सोहबत
मिरे जिस्म-ए-ना-तवाँ में नहीं रूह-ए-ताजिराना
मिरे ख़िज़्र के क़दम हैं मुझे मशअ'ल-ए-मनाज़िल
मिरे दीदा-ए-तलब में है निगाह-ए-मुजरिमाना
ग़म-ओ-रंज का छुपाना भी है कार-ए-ज़र्फ़ लेकिन
है ख़ुशी को ज़ब्त करना रह-ओ-रस्म-ए-आक़िलाना
तिरी तमकनत अगर है किसी दूसरे के बल पर
ये चलन है बाग़ियाना ये क़दम है मुजरिमाना
मुझे ख़िज़्र-ए-नौ की हाजत नहीं राह-ए-बंदगी में
मिरे मस्लक-ए-वफ़ा में ये रविश है काफ़िराना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading Khushi Shayari Shayari