soz awaaz mein lehje mein khanak hai saaqi | सोज़ आवाज़ में लहजे में खनक है साक़ी

  - Ehsas Muradabadi

soz awaaz mein lehje mein khanak hai saaqi
ishq ka tere yaqeen to nahin shak hai saaqi

main ne kab tujh se kaha hai mujhe shak hai saaqi
tere maathe pe sitaaron ki chamak hai saaqi

kya tiri shokhi-e-guftaar ki tashreeh karoon
kitni sheereeni hai aur kaisa namak hai saaqi

ishq ke soz ne naghmaat ko garmi bakshi
ab tire saaz mein sholoon ki lapak hai saaqi

mere saanson mein jo bas jaaye to kya us ka ilaaj
tu nahin paas magar teri mahak hai saaqi

main bahak jaaun to ye meri tunuk-zarfi hai
aur agar nashsha na ho kis ki hatak hai saaqi

dil-e-'ehsaas mein jo rooh-e-tajalli hai nihaan
chaand taaron mein kahaan us ki jhalak hai saaqi

सोज़ आवाज़ में लहजे में खनक है साक़ी
इश्क़ का तेरे यक़ीं तो नहीं शक है साक़ी

मैं ने कब तुझ से कहा है मुझे शक है साक़ी
तेरे माथे पे सितारों की चमक है साक़ी

क्या तिरी शोख़ी-ए-गुफ़्तार की तशरीह करूँ
कितनी शीरीनी है और कैसा नमक है साक़ी

इश्क़ के सोज़ ने नग़्मात को गर्मी बख़्शी
अब तिरे साज़ में शो'लों की लपक है साक़ी

मेरे साँसों में जो बस जाए तो क्या उस का इलाज
तू नहीं पास मगर तेरी महक है साक़ी

मैं बहक जाऊँ तो ये मेरी तुनुक-ज़र्फ़ी है
और अगर नश्शा न हो किस की हतक है साक़ी

दिल-ए-'एहसास' में जो रूह-ए-तजल्ली है निहाँ
चाँद तारों में कहाँ उस की झलक है साक़ी

  - Ehsas Muradabadi

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsas Muradabadi

As you were reading Shayari by Ehsas Muradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ehsas Muradabadi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari