tanhaai ka rog na paal
ghar se baahar paav nikaal
jin mein ho zahreela-pan
aisi baatein hans kar taal
shehar mein wahshi aaye hain
chal jungle mein dera daal
andar se hain bikhre bikhre
aur baahar se sab khush-haal
aankhen sab ki fikr-zada
kaise beetega ye saal
taalib pyaas bujhe kaise
ek nadi aur sau ghadiyaal
तन्हाई का रोग न पाल
घर से बाहर पावँ निकाल
जिन में हो ज़हरीला-पन
ऐसी बातें हँस कर टाल
शहर में वहशी आए हैं
चल जंगल में डेरा डाल
अंदर से हैं बिखरे बिखरे
और बाहर से सब ख़ुश-हाल
आँखें सब की फ़िक्र-ज़दा
कैसे बीतेगा ये साल
'तालिब' प्यास बुझे कैसे
एक नदी और सौ घड़ियाल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaaz Talib
our suggestion based on Ejaaz Talib
As you were reading Raqs Shayari Shayari