khud ko jab lag gai nazar apni | ख़ुद को जब लग गई नज़र अपनी

  - Ejaaz Talib

khud ko jab lag gai nazar apni
zindagi ban gai khandar apni

jab bhi suraj ghuroob hota hai
yaad aati hai dopahar apni

us ka qissa bhi ab taveel nahin
hai kahaani bhi mukhtasar apni

saath hota hai jab bhi gham us ka
mujh ko hoti nahin khabar apni

koi mubham sa naqsh-e-paa bhi nahin
sooni sooni hai raahguzaar apni

hoon to apnon ki bheed mein taalib
koi leta nahin khabar apni

ख़ुद को जब लग गई नज़र अपनी
ज़िंदगी बन गई खंडर अपनी

जब भी सूरज ग़ुरूब होता है
याद आती है दोपहर अपनी

उस का क़िस्सा भी अब तवील नहीं
है कहानी भी मुख़्तसर अपनी

साथ होता है जब भी ग़म उस का
मुझ को होती नहीं ख़बर अपनी

कोई मुबहम सा नक़्श-ए-पा भी नहीं
सूनी सूनी है रहगुज़र अपनी

हूँ तो अपनों की भीड़ में 'तालिब'
कोई लेता नहीं ख़बर अपनी

  - Ejaaz Talib

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaaz Talib

As you were reading Shayari by Ejaaz Talib

Similar Writers

our suggestion based on Ejaaz Talib

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari