jaageer agar bahut na mili ham koon gham nahin | जागीर अगर बहुत न मिली हम कूँ ग़म नहीं

  - Faez Dehlvi

jaageer agar bahut na mili ham koon gham nahin
haasil hamaare mulk-e-qana'at ka kam nahin

is saath mah-rukhan ko nahin kuchh baraabari
yusuf se ye nigaar-e-pari-zaad kam nahin

khush-soorataan se kya karoon main aashnaai ab
mujh ko to in dinon mein mayassar diram nahin

dil baandhte nahin hain hamaare milaap par
mah-talaataan mein mujh ko to ab kuchh bharam nahin

milte ho sab ke ja ke ghar aur ham soon ho kanaar
kuchh ham to un chakoron se ai maah kam nahin

zaahir ke dost aate nahin kaam waqt par
talwaar kaat kya kare jis ko jo dam nahin

faaez ko bhaaya misra-e-yakrang ai sajan
gar tum miloge un seti dekhoge ham nahin

जागीर अगर बहुत न मिली हम कूँ ग़म नहीं
हासिल हमारे मुल्क-ए-क़नाअ'त का कम नहीं

इस साथ मह-रुख़ाँ को नहीं कुछ बराबरी
यूसुफ़ से ये निगार-ए-परी-ज़ाद कम नहीं

ख़ुश-सूरताँ से क्या करूँ मैं आश्नाई अब
मुझ को तो इन दिनों में मयस्सर दिरम नहीं

दिल बाँधते नहीं हैं हमारे मिलाप पर
मह-तलअताँ में मुझ को तो अब कुछ भरम नहीं

मिलते हो सब के जा के घर और हम सूँ हो कनार
कुछ हम तो उन चकोरों से ऐ माह कम नहीं

ज़ाहिर के दोस्त आते नहीं काम वक़्त पर
तलवार काट क्या करे जिस को जो दम नहीं

'फ़ाएज़' को भाया मिस्रा-ए-'यकरंग' ऐ सजन
गर तुम मिलोगे उन सेती देखोगे हम नहीं

  - Faez Dehlvi

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faez Dehlvi

As you were reading Shayari by Faez Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Faez Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari