kya koi tasveer ban sakti hai soorat ke baghair
phir kisi se kyun mile koi zaroorat ke baghair
dushmani to chaahne ki intiha ka naam hai
ye kahaani bhi adhuri hai mohabbat ke baghair
teri yaadein ho gaeein jaise muqaddas aayatein
chain aata hi nahin dil ko tilaavat ke baghair
dhoop ki har saans ginte shaam tak jo aa gaye
chaanv mein vo kya jiein jeene ki aadat ke baghair
bach gaya daaman agar mere lahu ke daagh se
vo mera qaateel to mar jaayega shohrat ke baghair
us ki sardaari se ab inkaar karna chahiye
raushni deta nahin suraj siyaasat ke baghair
husn ki dookaan ho ki ishq ka bazaar ho
yaa koi sauda nahin hai dil ki daulat ke baghair
shabnami chehra chhupaau kaise bacchon se faheem
shaam aati hi nahin ghar mein tahaarat ke baghair
क्या कोई तस्वीर बन सकती है सूरत के बग़ैर
फिर किसी से क्यूँ मिले कोई ज़रूरत के बग़ैर
दुश्मनी तो चाहने की इंतिहा का नाम है
ये कहानी भी अधूरी है मोहब्बत के बग़ैर
तेरी यादें हो गईं जैसे मुक़द्दस आयतें
चैन आता ही नहीं दिल को तिलावत के बग़ैर
धूप की हर साँस गिनते शाम तक जो आ गए
छाँव में वो क्या जिएँ जीने की आदत के बग़ैर
बच गया दामन अगर मेरे लहू के दाग़ से
वो मिरा क़ातिल तो मर जाएगा शोहरत के बग़ैर
उस की सरदारी से अब इंकार करना चाहिए
रौशनी देता नहीं सूरज सियासत के बग़ैर
हुस्न की दूकान हो कि इश्क़ का बाज़ार हो
याँ कोई सौदा नहीं है दिल की दौलत के बग़ैर
शबनमी चेहरा छुपाऊँ कैसे बच्चों से 'फहीम'
शाम आती ही नहीं घर में तहारत के बग़ैर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faheem Jogapuri
our suggestion based on Faheem Jogapuri
As you were reading I Miss you Shayari Shayari