ek mehmaan ka hijr taari hai | एक मेहमाँ का हिज्र तारी है

  - Fahmi Badayuni

ek mehmaan ka hijr taari hai
mezbaani ki maskh jaari hai

sirf halki si be-qaraari hai
aaj ki raat dil pe bhari hai

koi panchi koi shikaari hai
zinda rahne ki jang jaari hai

bas tire gham ki gham-gusaari hai
aur kya shaayeri hamaari hai

aap karte hain shabnami baatein
aur meri pyaas reg-zaari hai

ab kahaan dasht mein junoon waale
jis ko dekho wahi shikaari hai

mere aansu nahin hain la-waaris
ik tabassum se rishte-daari hai

एक मेहमाँ का हिज्र तारी है
मेज़बानी की मश्क़ जारी है

सिर्फ़ हल्की सी बे-क़रारी है
आज की रात दिल पे भारी है

कोई पंछी कोई शिकारी है
ज़िंदा रहने की जंग जारी है

बस तिरे ग़म की ग़म-गुसारी है
और क्या शाएरी हमारी है

आप करते हैं शबनमी बातें
और मिरी प्यास रेग-ज़ारी है

अब कहाँ दश्त में जुनूँ वाले
जिस को देखो वही शिकारी है

मेरे आँसू नहीं हैं ला-वारिस
इक तबस्सुम से रिश्ते-दारी है

  - Fahmi Badayuni

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fahmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari