tasveer-e-na-mukammal ik tishnagi ka khaaka | तस्वीर-ए-ना-मुकम्मल इक तिश्नगी का ख़ाका

  - Faisal Azeem

tasveer-e-na-mukammal ik tishnagi ka khaaka
par farfarahaa raha hai anqa meri sada ka

sab kyun dikha rahe hain mauhoom si kharaashein
poocha tha sirf main ne beemaar se dava ka

deewaangi nahin jo choo choo ke dekhta hoon
aankhen hi ab mili hain andha tha main sada ka

haathon ko jaane kab se bas dhoye ja raha hoon
saada se canvas par saaya sa hai hawa ka

chhedo na in ragon ko shaakhen ye phool si hain
marham na mil sakega phir zakham-e-naarva ka

vahmon ki sau hain shaklein lakdi ke ek ghar mein
kya kya nahin dikhaata ye raat ka khattaaka

ik be-dimaagh haathi lashkar se aa mila hai
ab ye dimaagh hoga lashkar ke naqsh-e-paa ka

तस्वीर-ए-ना-मुकम्मल इक तिश्नगी का ख़ाका
पर फड़फड़ा रहा है अन्क़ा मिरी सदा का

सब क्यों दिखा रहे हैं मौहूम सी ख़राशें
पूछा था सिर्फ़ मैं ने बीमार से दवा का

दीवानगी नहीं जो छू छू के देखता हूँ
आँखें ही अब मिली हैं अंधा था मैं सदा का

हाथों को जाने कब से बस धोए जा रहा हूँ
सादा से कैनवस पर साया सा है हवा का

छेड़ो न इन रगों को शाख़ें ये फूल सी हैं
मरहम न मिल सकेगा फिर ज़ख़्म-ए-नारवा का

वहमों की सौ हैं शक्लें लकड़ी के एक घर में
क्या क्या नहीं दिखाता ये रात का खटाका

इक बे-दिमाग़ हाथी लश्कर से आ मिला है
अब ये दिमाग़ होगा लश्कर के नक़्श-ए-पा का

  - Faisal Azeem

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Azeem

As you were reading Shayari by Faisal Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Azeem

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari