aadaab aadaab
tasleemaat tasleemaat
mizaaj-e-aqdas
fazl-e-rabbi hai
namaazen padhte hain
faraaghaton se darte hain
allah khair-o-barkat de
suna hai aap ne nayi gaadi
khareed li
jee haan mercedes hai
allah ke fazl se
green card holder bhi hain
magar aap ka vo communism
aap to khase radical the
shukr baari-e-ta'ala ka
jis ne andheron mein
raushni dikhaai
allah bada baadshaah hai
los angeles ke posh qabrastaan mein
jagah buk kara di hai
aap ka kya iraada hai
fitna-o-fasaad se
najaat mili hai na milegi
kya aap ko visa bhijwaayein
peshkash ka shukriya
magar apne desi qabrastaan jaisi
taaza hawaaein america mein kahaan
aur phir apne yahan booking ki
bhi zaroorat nahin
main to kehta hoon qibla
aap bhi yahin ruk jaayen
umr ki aakhiri kagaar par khade hain
main nahin samajhta ki bulaava aane mein
koi der hogi
qeel-o-qaal se kaam na len
ek doosre ka haath thaam len
qabrastaan ki haree-bharee fazaaon mein
khoob guzregi
jo mil baithege
deewane do
आदाब आदाब
तस्लीमात तस्लीमात
मिज़ाज-ए-अक़्दस
फ़ज़्ल-ए-रब्बी है
नमाज़ें पढ़ते हैं
फ़राग़तों से डरते हैं
अल्लाह ख़ैर-ओ-बरकत दे
सुना है आप ने नई गाड़ी
ख़रीद ली
जी हाँ मर्सिडीज़ है
अल्लाह के फ़ज़्ल से
ग्रीन कार्ड होल्डर भी हैं
मगर आप का वो कम्युनिज़म
आप तो ख़ासे रेडिकल थे
शुक्र बारी-ए-तआ'ला का
जिस ने अँधेरों में
रौशनी दिखाई
अल्लाह बड़ा बादशाह है
लॉस एँजेल्स के पोश क़ब्रिस्तान में
जगह बुक करा दी है
आप का क्या इरादा है
फ़ित्ना-ओ-फ़साद से
नजात मिली है न मिलेगी
क्या आप को वीज़ा भिजवाएँ
पेशकश का शुक्रिया
मगर अपने देसी क़ब्रिस्तान जैसी
ताज़ा हवाएँ अमरीका में कहाँ
और फिर अपने यहाँ बुकिंग की
भी ज़रूरत नहीं
मैं तो कहता हूँ क़िबला
आप भी यहीं रुक जाएँ
उम्र की आख़िरी कगार पर खड़े हैं
मैं नहीं समझता कि बुलावा आने में
कोई देर होगी
क़ील-ओ-क़ाल से काम न लें
एक दूसरे का हाथ थाम लें
क़ब्रिस्तान की हरी-भरी फ़ज़ाओं में
ख़ूब गुज़रेगी
जो मिल बैठेंगे
दीवाने दो
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Faiyaz Rifat
As you were reading Mazhab Shayari Shayari