dono jahaan teri mohabbat mein haar ke
vo ja raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
veeraan hai may-kada kham-o-saaghar udaas hain
tum kya gaye ki rooth gaye din bahaar ke
ik fursat-e-gunah mili vo bhi chaar din
dekhe hain ham ne hausale parwardigaar ke
duniya ne teri yaad se begaana kar diya
tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke
bhule se muskuraa to diye the vo aaj faiz
mat pooch valvale dil-e-na-karda-kaar ke
दोनों जहान तेरी मोहब्बत में हार के
वो जा रहा है कोई शब-ए-ग़म गुज़ार के
वीराँ है मय-कदा ख़ुम-ओ-साग़र उदास हैं
तुम क्या गए कि रूठ गए दिन बहार के
इक फ़ुर्सत-ए-गुनाह मिली वो भी चार दिन
देखे हैं हम ने हौसले पर्वरदिगार के
दुनिया ने तेरी याद से बेगाना कर दिया
तुझ से भी दिल-फ़रेब हैं ग़म रोज़गार के
भूले से मुस्कुरा तो दिए थे वो आज 'फ़ैज़'
मत पूछ वलवले दिल-ए-ना-कर्दा-कार के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari