garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho
gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho
aise naadaan bhi na the jaan se guzarne waale
naaseho pand-garo raahguzar to dekho
vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se
ik nazar tum mera mahboob-e-nazar to dekho
vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain
dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho
daaman-e-dard ko gulzaar bana rakha hai
aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho
subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq
faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho
गर्मी-ऐ-शौक़-ऐ-नज़ारा का असर तो देखो
गुल खिले जाते हैं वो साया-ए-तर तो देखो
ऐसे नादाँ भी न थे जाँ से गुज़रने वाले
नासेहो पंद-गरो राहगुज़र तो देखो
वो तो वो है तुम्हें हो जाएगी उल्फ़त मुझ से
इक नज़र तुम मिरा महबूब-ए-नज़र तो देखो
वो जो अब चाक गरेबाँ भी नहीं करते हैं
देखने वालो कभी उन का जिगर तो देखो
दामन-ए-दर्द को गुलज़ार बना रक्खा है
आओ इक दिन दिल-ए-पुर-ख़ूँ का हुनर तो देखो
सुब्ह की तरह झमकता है शब-ए-ग़म का उफ़ुक़
'फ़ैज़' ताबिंदगी-ए-दीदा-ए-तर तो देखो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Phool Shayari Shayari