nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visaal mayassar to aarzoo hi sahi
na tan mein khoon faraham na ashk aankhon mein
namaaz-e-shauq to waajib hai be-wazoo hi sahi
kisi tarah to jame bazm may-kade waalo
nahin jo baada-o-saagar to haav-hoo hi sahi
gar intizaar kathin hai to jab talak ai dil
kisi ke waada-e-farda ki guftugoo hi sahi
dayaar-e-ghair mein mehram agar nahin koi
to faiz zikr-e-watan apne roo-b-roo hi sahi
नहीं निगाह में मंज़िल तो जुस्तुजू ही सही
नहीं विसाल मयस्सर तो आरज़ू ही सही
न तन में ख़ून फ़राहम न अश्क आँखों में
नमाज़-ए-शौक़ तो वाजिब है बे-वज़ू ही सही
किसी तरह तो जमे बज़्म मय-कदे वालो
नहीं जो बादा-ओ-साग़र तो हाव-हू ही सही
गर इंतिज़ार कठिन है तो जब तलक ऐ दिल
किसी के वादा-ए-फ़र्दा की गुफ़्तुगू ही सही
दयार-ए-ग़ैर में महरम अगर नहीं कोई
तो 'फ़ैज़' ज़िक्र-ए-वतन अपने रू-ब-रू ही सही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Nigaah Shayari Shayari