sab qatl ho ke tere muqaabil se aaye hain
ham log surkh-roo hain ki manzil se aaye hain
sham-e-nazar khayal ke anjum jigar ke daagh
jitne charaagh hain tiri mehfil se aaye hain
uth kar to aa gaye hain tiri bazm se magar
kuchh dil hi jaanta hai ki kis dil se aaye hain
har ik qadam ajal tha har ik gaam zindagi
ham ghoom phir ke koocha-e-qaatil se aaye hain
baad-e-khizaan ka shukr karo faiz jis ke haath
naame kisi bahaar-e-shimaail se aaye hain
सब क़त्ल हो के तेरे मुक़ाबिल से आए हैं
हम लोग सुर्ख़-रू हैं कि मंज़िल से आए हैं
शम-ए-नज़र ख़याल के अंजुम जिगर के दाग़
जितने चराग़ हैं तिरी महफ़िल से आए हैं
उठ कर तो आ गए हैं तिरी बज़्म से मगर
कुछ दिल ही जानता है कि किस दिल से आए हैं
हर इक क़दम अजल था हर इक गाम ज़िंदगी
हम घूम फिर के कूचा-ए-क़ातिल से आए हैं
बाद-ए-ख़िज़ाँ का शुक्र करो 'फ़ैज़' जिस के हाथ
नामे किसी बहार-ए-शिमाइल से आए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Manzil Shayari Shayari