tiri umeed tira intizaar jab se hai
na shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai
kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam
gila hai jo bhi kisi se tire sabab se hai
hua hai jab se dil-e-na-suboor be-qaboo
kalaam tujh se nazar ko bade adab se hai
agar sharar hai to bhadke jo phool hai to khile
tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai
kahaan gaye shab-e-furqat ke jaagne waale
sitaara-e-seheri ham-kalaam kab se hai
तिरी उमीद तिरा इंतिज़ार जब से है
न शब को दिन से शिकायत न दिन को शब से है
किसी का दर्द हो करते हैं तेरे नाम रक़म
गिला है जो भी किसी से तिरे सबब से है
हुआ है जब से दिल-ए-ना-सुबूर बे-क़ाबू
कलाम तुझ से नज़र को बड़े अदब से है
अगर शरर है तो भड़के जो फूल है तो खिले
तरह तरह की तलब तेरे रंग-ए-लब से है
कहाँ गए शब-ए-फ़ुर्क़त के जागने वाले
सितारा-ए-सहरी हम-कलाम कब से है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Relationship Shayari Shayari