tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai
talash mein hai sehar baar baar guzri hai
junoon mein jitni bhi guzri b-kaar guzri hai
agarche dil pe kharaabi hazaar guzri hai
hui hai hazrat-e-naaseh se guftugoo jis shab
vo shab zaroor sar-e-koo-e-yaar guzri hai
vo baat saare fasaane mein jis ka zikr na tha
vo baat un ko bahut na-gawaar guzri hai
na gul khile hain na un se mile na may pee hai
ajeeb rang mein ab ke bahaar guzri hai
chaman pe ghaarat-e-gul-cheen se jaane kya guzri
qafas se aaj saba be-qaraar guzri hai
तुम आए हो न शब-ए-इंतिज़ार गुज़री है
तलाश में है सहर बार बार गुज़री है
जुनूँ में जितनी भी गुज़री ब-कार गुज़री है
अगरचे दिल पे ख़राबी हज़ार गुज़री है
हुई है हज़रत-ए-नासेह से गुफ़्तुगू जिस शब
वो शब ज़रूर सर-ए-कू-ए-यार गुज़री है
वो बात सारे फ़साने में जिस का ज़िक्र न था
वो बात उन को बहुत ना-गवार गुज़री है
न गुल खिले हैं न उन से मिले न मय पी है
अजीब रंग में अब के बहार गुज़री है
चमन पे ग़ारत-ए-गुल-चीं से जाने क्या गुज़री
क़फ़स से आज सबा बे-क़रार गुज़री है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Environment Shayari Shayari