ye kis khalish ne phir is dil mein aashiyana kiya | ये किस ख़लिश ने फिर इस दिल में आशियाना किया - Faiz Ahmad Faiz

ye kis khalish ne phir is dil mein aashiyana kiya
phir aaj kis ne sukhun hum se ghaaibaana kiya

gham-e-jahaan ho rukh-e-yaar ho ki dast-e-adu
sulook jis se kiya hum ne aashiqana kiya

the khaak-e-raah bhi hum log qahar-e-toofaan bhi
saha to kya na saha aur kiya to kya na kiya

khusa ki aaj har ik muddai ke lab par hai
vo raaz jis ne humein raanda-e-zamaana kiya

vo heelagar jo wafa-joo bhi hai jafa-khoo bhi
kiya bhi faiz to kis but se dostana kiya

ये किस ख़लिश ने फिर इस दिल में आशियाना किया
फिर आज किस ने सुख़न हम से ग़ाएबाना किया

ग़म-ए-जहाँ हो रुख़-ए-यार हो कि दस्त-ए-अदू
सुलूक जिस से किया हम ने आशिक़ाना किया

थे ख़ाक-ए-राह भी हम लोग क़हर-ए-तूफ़ाँ भी
सहा तो क्या न सहा और किया तो क्या न किया

ख़ुशा कि आज हर इक मुद्दई के लब पर है
वो राज़ जिस ने हमें राँदा-ए-ज़माना किया

वो हीला-गर जो वफ़ा-जू भी है जफ़ा-ख़ू भी
किया भी 'फ़ैज़' तो किस बुत से दोस्ताना किया

- Faiz Ahmad Faiz
1 Like

Beqarari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Beqarari Shayari Shayari