chashm-nam jaan-e-shoreeda kaafi nahin | चश्म-नम जान-ए-शोरीदा काफ़ी नहीं

  - Faiz Ahmad Faiz

chashm-nam jaan-e-shoreeda kaafi nahin
tohmat-e-ishq-e-posheeda kaafi nahin
aaj bazaar mein paa-b-jaulaan chalo
dast-afshaan chalo mast o raksaan chalo
khaak-bar-sar chalo khoon-b-daamaan chalo
raah takta hai sab shahr-e-jaanaan chalo
haakim-e-shahr bhi majma-e-aam bhi
teer-e-ilzaam bhi sang-e-dushnaam bhi
subh-e-naashaad bhi roz-e-naakaam bhi
un ka dam-saaz apne siva kaun hai
shahr-e-jaanaan mein ab ba-safa kaun hai
dasht-e-qaatil ke shaayaan raha kaun hai

rakht-e-dil baandh lo dil-figaaro chalo
phir humeen qatl ho aayein yaaro chalo

चश्म-नम जान-ए-शोरीदा काफ़ी नहीं
तोहमत-ए-इश्क़-ए-पोशीदा काफ़ी नहीं
आज बाज़ार में पा-ब-जौलाँ चलो
दस्त-अफ़्शाँ चलो मस्त ओ रक़्साँ चलो
ख़ाक-बर-सर चलो ख़ूँ-ब-दामाँ चलो
राह तकता है सब शहर-ए-जानाँ चलो
हाकिम-ए-शहर भी मजमा-ए-आम भी
तीर-ए-इल्ज़ाम भी संग-ए-दुश्नाम भी
सुब्ह-ए-नाशाद भी रोज़-ए-नाकाम भी
उन का दम-साज़ अपने सिवा कौन है
शहर-ए-जानाँ में अब बा-सफ़ा कौन है
दस्त-ए-क़ातिल के शायाँ रहा कौन है

रख़्त-ए-दिल बाँध लो दिल-फ़िगारो चलो
फिर हमीं क़त्ल हो आएँ यारो चलो

  - Faiz Ahmad Faiz

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari