saakin hain sab nazaare | “साकिन हैं सब नज़ारे” - SAFEER RAY

saakin hain sab nazaare

saakin hain sab nazare
ek tum hi gaye dil se
saakin hain sab nazare
ye darakht bhi wahin hai
jis chaanv mein the ham tum

ye paintare wahin hai
jis daanv mein the ham tum
ham tum hue the raazi
ye park bhi wahin hai

wahin hain phool saare
gulistaan bhi wahin hai
wahin hai ab bhi bulbul
sayyaad bhi wahin hai

us bench ka color jo
aaj bhi hai waisa
ek hoo-b-hoo sa ladka
baitha hai mere jaisa

vo raah tak raha hai
na jaane kiski kiski
vo munh chhupa ke rota
leta hai bhari sisaki

ye dekh kar mujhe tum
phir yaad aa gaye ho
pehle khuda the mere
ab uske baad aa gaye ho

bahr-haal ab ye chhodo
aage ko badha jaaye
ye raasta bhi waisa
jo tere ghar ko jaaye

nukkad pe tere ab bhi
maujood hain dukanein
vo aashikon ke adde
aur unke vo thikaane

main door se yahin se
khud ko dekhta hoon
hansta hoon muskurata
shekhi baghaarata hoon

nigaahen neechi kar ke
tum us gali se aati
dekh kar ke mujhko
jo tum thi muskuraati

par yaad hai mujhe jo
vo aur ek nazaara
toota tha mere dil ka
yun sadak pe sitaara

kyun saath mera tumne
yun chhuda liya tha
waajib wazh na thi par
tumne dagaa kiya tha

ye bhanware titliyan sab
meri nazm ga rahe hain
kuchh log hain jo mujhko
baans par le ja rahe hain

fiza hai sard aisi
sab sard hain sharaare
ek tum hi gaye dil se
saakin hain sab nazare

“साकिन हैं सब नज़ारे”

साकिन हैं सब नज़ारे
एक तुम ही गए दिल से
साकिन हैं सब नज़ारे
ये दरख़्त भी वहीं है
जिस छाँव में थे हम तुम

ये पैंतरे वहीं है
जिस दाँव में थे हम तुम
हम तुम हुए थे राज़ी
ये पार्क भी वहीं है

वहीं हैं फूल सारे
गुलिस्ताँ भी वहीं है
वहीं है अब भी बुलबुल
सय्याद भी वहीं है

उस बेंच का कलर जो
आज भी है वैसा
एक हू-ब-हू सा लड़का
बैठा है मेरे जैसा

वो राह तक रहा है
न जाने किसकी किसकी
वो मुँह छिपा के रोता
लेता है भारी सिसकी

ये देख कर मुझे तुम
फिर याद आ गए हो
पहले ख़ुदा थे मेरे
अब उसके बाद आ गए हो

बहर-हाल अब ये छोड़ो
आगे को बढ़ा जाए
ये रास्ता भी वैसा
जो तेरे घर को जाए

नुक्कड़ पे तेरे अब भी
मौजूद हैं दुकानें
वो आशिकों के अड्डे
और उनके वो ठिकाने

मैं दूर से यहीं से
ख़ुद को देखता हूँ
हँसता हूँ मुस्कुराता
शेख़ी बघारता हूँ

निगाहें नीची कर के
तुम उस गली से आती
देख कर के मुझको
जो तुम थी मुस्कुराती

पर याद है मुझे जो
वो और एक नज़ारा
टूटा था मेरे दिल का
यूँ सड़क पे सितारा

क्यूँ साथ मेरा तुमने
यूँ छुड़ा लिया था
वाजिब वज़ह न थी पर
तुमने दग़ा किया था

ये भँवरे तितलियाँ सब
मिरी नज़्म गा रहे हैं
कुछ लोग हैं जो मुझको
बाँस पर ले जा रहे हैं

फ़िज़ा है सर्द ऐसी
सब सर्द हैं शरारे
एक तुम ही गए दिल से
साकिन हैं सब नज़ारे

- SAFEER RAY
13 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SAFEER RAY

As you were reading Shayari by SAFEER RAY

Similar Writers

our suggestion based on SAFEER RAY

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari