mere auraq palatta vo mera hi gham hai | मेरे औराक़ पलटता वो मिरा ही ग़म है - SAFEER RAY

mere auraq palatta vo mera hi gham hai
hai yahi baat jo duniya ko muqaddam kam hai

husn-e-soz-e-nihaan vo jo mera ab bhi hota
haan mere khwaab mein hai par vo mujassam kam hai

maine taqdeer banaai hai mere haathon se
hauslon mein mere ab bhi yun bada dam kham hai

koii aawaaz mujhe de raha toofaanon se
par ye dhokhon ki kisi bazm-e-munazzam sam hai

vo mujhe ab bhi jo gaurav kahe barbaad kiye
jaaniye zindagi hi zindagi ka maatam hai

मेरे औराक़ पलटता वो मिरा ही ग़म है
है यही बात जो दुनिया को मुक़द्दम कम है

हुस्न-ए-सोज़-ए-निहाँ वो जो मेरा अब भी होता
हाँ मिरे ख़्वाब में है पर वो मुजस्सम कम है

मैंने तक़दीर बनाई है मिरे हाथों से
हौसलों में मेरे अब भी यूँ बड़ा दम ख़म है

कोई आवाज़ मुझे दे रहा तूफ़ानों से
पर ये धोखों कि किसी बज़्म-ए-मुनज़्ज़म सम है

वो मुझे अब भी जो गौरव कहे बर्बाद किए
जानिए ज़िंदगी ही ज़िंदगी का मातम है

- SAFEER RAY
11 Likes

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SAFEER RAY

As you were reading Shayari by SAFEER RAY

Similar Writers

our suggestion based on SAFEER RAY

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari