itwaar. ki dopahar to hamesha hi achhi hoti hai
bilkul tumhaari tarah
be-fikr be-parwaah azaad
main ne bhi hamesha ise apne hi tariqe se bitaya hai
par jaane kyun
kuchh arse se jab bhi ye sukoon bhara waqt apne saath bitaane ki koshish ki
tum door-daraaz ke waqton se nikal ke chup-chaap mere qareeb baith jaate ho
mere haathon ki khuli kitaab band kar ke
apne hi qisse sunaane lagte ho
december ki sardi
baarish ki boonde
aur itwaar. ki dopahar
wahi qissa jo tum ne jiya tha kabhi
mere saath
lag-bhag har hafta dohraate ho
aur mujhe ehsaas bhi nahin hota ki main qaid hoon
kuchh azaad se lamhon mein hamesha ke liye
इतवार की दोपहर तो हमेशा ही अच्छी होती है
बिल्कुल तुम्हारी तरह
बे-फ़िक्र बे-परवाह आज़ाद
मैं ने भी हमेशा इसे अपने ही तरीक़े से बिताया है
पर जाने क्यूँ
कुछ अर्से से जब भी ये सुकून भरा वक़्त अपने साथ बिताने की कोशिश की
तुम दूर-दराज़ के वक़्तों से निकल के चुप-चाप मेरे क़रीब बैठ जाते हो
मेरे हाथों की खुली किताब बंद कर के
अपने ही क़िस्से सुनाने लगते हो
दिसम्बर की सर्दी
बारिश की बूँदे
और इतवार की दोपहर
वही क़िस्सा जो तुम ने जिया था कभी
मेरे साथ
लग-भग हर हफ़्ते दोहराते हो
और मुझे एहसास भी नहीं होता कि मैं क़ैद हूँ
कुछ आज़ाद से लम्हों में हमेशा के लिए
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Geetanjali Rai
As you were reading Sukoon Shayari Shayari