akela din hai koi aur na tanhaa raat hoti hai | अकेला दिन है कोई और न तन्हा रात होती है

  - Ghulam Mohammad Qasir

akela din hai koi aur na tanhaa raat hoti hai
main jis pal se guzarta hoon mohabbat saath hoti hai

tiri awaaz ko is shehar ki lahren tarasti hain
galat number milaata hoon to paharon baat hoti hai

saroon par khof-e-ruswaai ki chadar taan lete ho
tumhaare vaaste rangon ki jab barsaat hoti hai

kahi chidiyaan chahakti hain kahi kaliyaan chatkati hain
magar mere makaan se aasmaan tak raat hoti hai

kise aabaad samjhoon kis ka shahr-aashob likhoon main
jahaan shehron ki yaksaan soorat-e-haalat hoti hai

अकेला दिन है कोई और न तन्हा रात होती है
मैं जिस पल से गुज़रता हूँ मोहब्बत साथ होती है

तिरी आवाज़ को इस शहर की लहरें तरसती हैं
ग़लत नंबर मिलाता हूँ तो पहरों बात होती है

सरों पर ख़ौफ़-ए-रुस्वाई की चादर तान लेते हो
तुम्हारे वास्ते रंगों की जब बरसात होती है

कहीं चिड़ियाँ चहकती हैं कहीं कलियाँ चटकती हैं
मगर मेरे मकाँ से आसमाँ तक रात होती है

किसे आबाद समझूँ किस का शहर-आशोब लिखूँ मैं
जहाँ शहरों की यकसाँ सूरत-ए-हालात होती है

  - Ghulam Mohammad Qasir

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Mohammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Mohammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Mohammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari