har ek gham nichod ke har ik baras jiye | हर एक ग़म निचोड़ के हर इक बरस जिए

  - Gulzar

har ek gham nichod ke har ik baras jiye
do din ki zindagi mein hazaaron baras jiye

sadiyon pe ikhtiyaar nahin tha hamaara dost
do chaar lamhe bas mein the do chaar bas jiye

sehra ke us taraf se gaye saare kaarwaan
sun sun ke ham to sirf sada-e-jars jiye

honton mein le ke raat ke aanchal ka ik sira
aankhon pe rakh ke chaand ke honton ka mas jiye

mahdood hain duaaein mere ikhtiyaar mein
har saans pur-sukoon ho tu sau baras jiye

हर एक ग़म निचोड़ के हर इक बरस जिए
दो दिन की ज़िंदगी में हज़ारों बरस जिए

सदियों पे इख़्तियार नहीं था हमारा दोस्त
दो चार लम्हे बस में थे दो चार बस जिए

सहरा के उस तरफ़ से गए सारे कारवाँ
सुन सुन के हम तो सिर्फ़ सदा-ए-जरस जिए

होंटों में ले के रात के आँचल का इक सिरा
आँखों पे रख के चाँद के होंटों का मस जिए

महदूद हैं दुआएँ मिरे इख़्तियार में
हर साँस पुर-सुकून हो तू सौ बरस जिए

  - Gulzar

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari