vo pul ki saathviin seedhi pe baitha kehta rehta tha | वो पुल की सातवीं सीढ़ी पे बैठा कहता रहता था

  - Gulzar

vo pul ki saathviin seedhi pe baitha kehta rehta tha
kisi thaile mein bhar ke gar khayal apne
main darwaaze pe harkaare ki soorat ja ke pahunchaata
chamakti boonden baarish ki kisi ki jeb mein bhar ke
gale mein baadlon ka ek mafalar daal kar aata
vo bheega bheega sa rehta
kisi ke kaan mein do baaliyon se chaand pahnaata
machheron ki koi ladki agar milti
garjate baadlon ko baandh kar baalon ke jode mein
dhanak ki beeni de aata
mujhe gar kahkashaan ko baantne ka haq diya hota khuda ne to
koi footpath se bola
ai aulaad sha'ir ki
bahut khaai hain rookhi rotiyaan main ne
jo la saka hai to ik baar kuchh saalan hi la kar de

वो पुल की सातवीं सीढ़ी पे बैठा कहता रहता था
किसी थैले में भर के गर ख़याल अपने
मैं दरवाज़े पे हरकारे की सूरत जा के पहुँचाता
चमकती बूँदें बारिश की किसी की जेब में भर के
गले में बादलों का एक मफ़लर डाल कर आता
वो भीगा भीगा सा रहता
किसी के कान में दो बालियों से चाँद पहनाता
मछेरों की कोई लड़की अगर मिलती
गरजते बादलों को बाँध कर बालों के जोड़े में
धनक की बीनी दे आता
मुझे गर कहकशाँ को बाँटने का हक़ दिया होता ख़ुदा ने तो
कोई फ़ुटपाथ से बोला
ऐ औलाद शाइ'र की
बहुत खाई हैं रूखी रोटियाँ मैं ने
जो ला सकता है तो इक बार कुछ सालन ही ला कर दे

  - Gulzar

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari