waqt ko aate na jaate na guzarte dekha
na utarte hue dekha kabhi ilhaam ki soorat
jama hote hue ik jagah magar dekha hai
shaayad aaya tha vo khwaabon se dabey paanv hi
aur jab aaya khayaalon ko bhi ehsaas na tha
aankh ka rang tulu hote hue dekha jis din
main ne chooma tha magar waqt ko pahchaana na tha
chand tutlaaye hue bolon mein aahat bhi sooni
doodh ka daant gira tha to wahan bhi dekha
boski beti meri chikni si resham ki dali
lipti-liptaai hui reshmi taangon mein padi thi
mujh ko ehsaas nahin tha ki wahan waqt pada hai
paalna khol ke jab main ne utaara tha use bistar par
lori ke bolon se ik baar chhua tha us ko
badhte nakhuno mein har baar tarasha bhi tha
choodiyaan chadhti utarti theen kalaaee pe musalsal
aur haathon se utarti kabhi chadhti theen kitaaben
mujh ko maaloom nahin tha ki wahan waqt likha hai
waqt ko aate na jaate na guzarte dekha
jam'a hote hue dekha magar us ko main ne
is baras boski athaarah baras ki hogi
chand tutlaaye hue bolon mein aahat bhi sooni
doodh ka daant gira tha to wahan bhi dekha
boski beti meri chikni si resham ki dali
lipti-liptaai hui reshmi taangon mein padi thi
mujh ko ehsaas nahin tha ki wahan waqt pada hai
paalna khol ke jab main ne utaara tha use bistar par
lori ke bolon se ik baar chhua tha us ko
badhte nakhuno mein har baar tarasha bhi thachoodiyaan chadhti utarti theen kalaaee pe musalsal
aur haathon se utarti kabhi chadhti theen kitaaben
mujh ko maaloom nahin tha ki wahan waqt likha hai
waqt ko aate na jaate na guzarte dekha
jam'a hote hue dekha magar us ko main ne
is baras boski athaarah baras ki hogi
वक़्त को आते न जाते न गुज़रते देखा
न उतरते हुए देखा कभी इल्हाम की सूरत
जमा होते हुए इक जगह मगर देखा है
शायद आया था वो ख़्वाबों से दबे पाँव ही
और जब आया ख़यालों को भी एहसास न था
आँख का रंग तुलु होते हुए देखा जिस दिन
मैं ने चूमा था मगर वक़्त को पहचाना न था
चंद तुतलाए हुए बोलों में आहट भी सुनी
दूध का दाँत गिरा था तो वहाँ भी देखा
बोसकी बेटी मिरी चिकनी सी रेशम की डली
लिपटी-लिपटाई हुई रेशमी तांगों में पड़ी थी
मुझ को एहसास नहीं था कि वहाँ वक़्त पड़ा है
पालना खोल के जब मैं ने उतारा था उसे बिस्तर पर
लोरी के बोलों से इक बार छुआ था उस को
बढ़ते नाख़ूनों में हर बार तराशा भी था
चूड़ियाँ चढ़ती उतरती थीं कलाई पे मुसलसल
और हाथों से उतरती कभी चढ़ती थीं किताबें
मुझ को मालूम नहीं था कि वहाँ वक़्त लिखा है
वक़्त को आते न जाते न गुज़रते देखा
जम'अ होते हुए देखा मगर उस को मैं ने
इस बरस बोसकी अठारह बरस की होगी
चंद तुतलाए हुए बोलों में आहट भी सुनी
दूध का दाँत गिरा था तो वहाँ भी देखा
बोसकी बेटी मिरी चिकनी सी रेशम की डली
लिपटी-लिपटाई हुई रेशमी तांगों में पड़ी थी
मुझ को एहसास नहीं था कि वहाँ वक़्त पड़ा है
पालना खोल के जब मैं ने उतारा था उसे बिस्तर पर
लोरी के बोलों से इक बार छुआ था उस को
बढ़ते नाख़ूनों में हर बार तराशा भी थाचूड़ियाँ चढ़ती उतरती थीं कलाई पे मुसलसल
और हाथों से उतरती कभी चढ़ती थीं किताबें
मुझ को मालूम नहीं था कि वहाँ वक़्त लिखा है
वक़्त को आते न जाते न गुज़रते देखा
जम'अ होते हुए देखा मगर उस को मैं ने
इस बरस बोसकी अठारह बरस की होगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar
our suggestion based on Gulzar
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari