apnon ne vo rang diye hain begaane yaad aate hain | अपनों ने वो रंग दिए हैं, बेगाने याद आते हैं

  - Habib Jalib

apnon ne vo rang diye hain begaane yaad aate hain
dekh ke is basti ki haalat veeraane yaad aate hain

is nagri mein qadam qadam pe sar ko jhukaana padta hai
is nagri mein qadam-qadam par butkhaane yaad aate hain

aankhen puranam ho jaati hain ghurbat ke sehraaon mein
jab us rimjhim ki waadi ke afsaane yaad aate hain

aise-aise dard mile hain naye dayaaron mein hamko
bichhde hue kuchh log purane yaaraane yaad aate hain

jinke kaaran aaj hamaare haal pe duniya hansati hai
kitne zalim chehre jaane-pahchaane yaad aate hain

yoon na luti thi galiyon-galiyon daulat apne ashkon ki
rote hain to hamko apne ghamkhaane yaad aate hain

koi to parcham lekar nikle apne garebaan ka jaalib
chaaron jaanib sannaata hai deewane yaad aate hain

अपनों ने वो रंग दिए हैं, बेगाने याद आते हैं
देख के इस बस्ती की हालत वीराने याद आते हैं

इस नगरी में क़दम- क़दम पे सर को झुकाना पड़ता है
इस नगरी में क़दम-क़दम पर बुतख़ाने याद आते हैं

आंखें पुरनम हो जाती हैं ग़ुरबत के सेहराओं में
जब उस रिमझिम की वादी के अफ़साने याद आते हैं

ऐसे-ऐसे दर्द मिले हैं नए दयारों में हमको
बिछड़े हुए कुछ लोग, पुराने याराने याद आते हैं

जिनके कारन आज हमारे हाल पे दुनिया हंसती है
कितने ज़ालिम चेहरे जाने-पहचाने याद आते हैं

यूं न लुटी थी गलियों-गलियों दौलत अपने अश्क़ों की
रोते हैं तो हमको अपने ग़मख़ाने याद आते हैं

कोई तो परचम लेकर निकले अपने गरेबां का जालिब
चारों जानिब सन्नाटा है, दीवाने याद आते हैं

  - Habib Jalib

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari