ai jahaan dekh le kab se be-ghar hain ham | ऐ जहाँ देख ले कब से बे-घर हैं हम

  - Habib Jalib

ai jahaan dekh le kab se be-ghar hain ham
ab nikal aaye hain le ke apna alam
ye mahallaat ye unche unche makaan
in ki buniyaad mein hai hamaara lahu
kal jo mehmaan the ghar ke maalik bane
shah bhi hai adoo shaikh bhi hai adoo
kab talak ham sahen ghaasibon ke sitam
ai jahaan dekh le kab se be-ghar hain ham
ab nikal aaye hain le ke apna alam

itna saada na ban tujh ko maaloom hai
kaun ghere hue hai filisteen ko

aaj khul ke ye naara laga ai jahaan
qaatilo rah-zano ye zameen chhod do
ham ko ladna hai jab tak ki dam mein hai dam
ai jahaan dekh le kab se be-ghar hain ham
ab nikal aaye hain le ke apna alam

ऐ जहाँ देख ले कब से बे-घर हैं हम
अब निकल आए हैं ले के अपना अलम
ये महल्लात ये ऊँचे ऊँचे मकाँ
इन की बुनियाद में है हमारा लहू
कल जो मेहमान थे घर के मालिक बने
शाह भी है अदू शैख़ भी है अदू
कब तलक हम सहें ग़ासिबों के सितम
ऐ जहाँ देख ले कब से बे-घर हैं हम
अब निकल आए हैं ले के अपना अलम

इतना सादा न बन तुझ को मालूम है
कौन घेरे हुए है फ़िलिस्तीन को

आज खुल के ये नारा लगा ऐ जहाँ
क़ातिलो रह-ज़नो ये ज़मीं छोड़ दो
हम को लड़ना है जब तक कि दम में है दम
ऐ जहाँ देख ले कब से बे-घर हैं हम
अब निकल आए हैं ले के अपना अलम

  - Habib Jalib

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari