baatein to kuchh aisi hain ki khud se bhi na ki jaayen | बातें तो कुछ ऐसी हैं कि ख़ुद से भी न की जाएँ

  - Habib Jalib

baatein to kuchh aisi hain ki khud se bhi na ki jaayen
socha hai khamoshi se har ik zahar ko pee jaayen

apna to nahin koi wahan poochne waala
us bazm mein jaana hai jinhen ab to wahi jaayen

ab tujh se hamein koi taalluq nahin rakhna
achha ho ki dil se tiri yaadein bhi chali jaayen

ik umr uthaaye hain sitam gair ke ham ne
apnon ki to ik pal bhi jafaaen na sahi jaayen

jaalib gham-e-dauraan ho ki yaad-e-rukh-e-jaanaan
tanhaa mujhe rahne den mere dil se sabhi jaayen

बातें तो कुछ ऐसी हैं कि ख़ुद से भी न की जाएँ
सोचा है ख़मोशी से हर इक ज़हर को पी जाएँ

अपना तो नहीं कोई वहाँ पूछने वाला
उस बज़्म में जाना है जिन्हें अब तो वही जाएँ

अब तुझ से हमें कोई तअल्लुक़ नहीं रखना
अच्छा हो कि दिल से तिरी यादें भी चली जाएँ

इक उम्र उठाए हैं सितम ग़ैर के हम ने
अपनों की तो इक पल भी जफ़ाएँ न सही जाएँ

'जालिब' ग़म-ए-दौराँ हो कि याद-ए-रुख़-ए-जानाँ
तन्हा मुझे रहने दें मिरे दिल से सभी जाएँ

  - Habib Jalib

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari