hawa bhi khush-gawaar hai | हवा भी ख़ुश-गवार है

  - Hafeez Jalandhari

hawa bhi khush-gawaar hai
gulon pe bhi nikhaar hai
tarannum-e-hazaar hai
bahaar pur-bahaar hai
kahaan chala hai saaqiya
idhar to laut idhar to aa
are ye dekhta hai kya
utha suboo suboo utha
suboo utha pyaala bhar
pyaala bhar ke de idhar
chaman ki samt kar nazar
samaan to dekh be-khabar
vo kaali kaali badliyaan
ufuq pe ho gaeein ayaan
vo ik hujoom-e-may-kashaan
hai soo-e-may-kadaa ravaan
ye kya gumaan hai bad-gumaan
samajh na mujh ko na-tawan
khayaal-e-zohd abhi kahaan
abhi to main jawaan hoon
ibaadaton ka zikr hai
najaat ki bhi fikr hai
junoon hai savaab ka
khayal hai azaab ka
magar suno to shaikh jee
ajeeb shay hain aap bhi
bhala shabaab o aashiqi
alag hue bhi hain kabhi
haseen jalwa-rez hon
adaayein fitna-khez hon
hawaaein itr-bez hon
to shauq kyun na tez hon
nigaar-ha-e-fitnagar
koi idhar koi udhar
ubhaarte hon aish par
to kya kare koi bashar
chalo jee qissa-mukhtasar
tumhaara nuqta-e-nazar
durust hai to ho magar
abhi to main jawaan hoon
ye gasht kohsaar ki
ye sair joo-e-baar ki
ye bulbulon ke chahchahe
ye gul-rukho'n ke qahqahe
kisi se mel ho gaya
to ranj o fikr kho gaya
kabhi jo bakht so gaya
ye hans gaya vo ro gaya
ye ishq ki kahaaniyaan
ye ras bhari javaaniyaan
udhar se mehrabaaniyaan
idhar se lan-taraaniyaan
ye aasmaan ye zameen
nazaara-ha-e-dil-nasheen
inhen hayaat-aafreen
bhala main chhod doon yahin
hai maut is qadar qareen
mujhe na aayega yaqeen
nahin nahin abhi nahin
abhi to main jawaan hoon
na gham kushood o bast ka
buland ka na past ka
na bood ka na hast ka
na waada-e-alast ka
ummeed aur yaas gum
hawas gum qayaas gum
nazar se aas paas gum
hama-bajuz gilaas gum
na may mein kuchh kami rahe
qadah se hamdami rahe
nashisht ye jamee rahe
yahi hama-haami rahe
vo raag chhed mutriba
tarab-faza alam-ruba
asar sada-e-saaz ka
jigar mein aag de laga
har ek lab pe ho sada
na haath rok saaqiya
pilaaye ja pilaaye ja
abhi to main jawaan hoon

हवा भी ख़ुश-गवार है
गुलों पे भी निखार है
तरन्नुम-ए-हज़ार है
बहार पुर-बहार है
कहाँ चला है साक़िया
इधर तो लौट इधर तो आ
अरे ये देखता है क्या
उठा सुबू सुबू उठा
सुबू उठा प्याला भर
प्याला भर के दे इधर
चमन की सम्त कर नज़र
समाँ तो देख बे-ख़बर
वो काली काली बदलियाँ
उफ़ुक़ पे हो गईं अयाँ
वो इक हुजूम-ए-मय-कशाँ
है सू-ए-मय-कदा रवाँ
ये क्या गुमाँ है बद-गुमाँ
समझ न मुझ को ना-तवाँ
ख़याल-ए-ज़ोहद अभी कहाँ
अभी तो मैं जवान हूँ
इबादतों का ज़िक्र है
नजात की भी फ़िक्र है
जुनून है सवाब का
ख़याल है अज़ाब का
मगर सुनो तो शैख़ जी
अजीब शय हैं आप भी
भला शबाब ओ आशिक़ी
अलग हुए भी हैं कभी
हसीन जल्वा-रेज़ हों
अदाएँ फ़ित्ना-ख़ेज़ हों
हवाएँ इत्र-बेज़ हों
तो शौक़ क्यूँ न तेज़ हों
निगार-हा-ए-फ़ित्नागर
कोई इधर कोई उधर
उभारते हों ऐश पर
तो क्या करे कोई बशर
चलो जी क़िस्सा-मुख़्तसर
तुम्हारा नुक़्ता-ए-नज़र
दुरुस्त है तो हो मगर
अभी तो मैं जवान हूँ
ये गश्त कोहसार की
ये सैर जू-ए-बार की
ये बुलबुलों के चहचहे
ये गुल-रुख़ों के क़हक़हे
किसी से मेल हो गया
तो रंज ओ फ़िक्र खो गया
कभी जो बख़्त सो गया
ये हँस गया वो रो गया
ये इश्क़ की कहानियाँ
ये रस भरी जवानियाँ
उधर से मेहरबानियाँ
इधर से लन-तरानियाँ
ये आसमान ये ज़मीं
नज़ारा-हा-ए-दिल-नशीं
इन्हें हयात-आफ़रीं
भला मैं छोड़ दूँ यहीं
है मौत इस क़दर क़रीं
मुझे न आएगा यक़ीं
नहीं नहीं अभी नहीं
अभी तो मैं जवान हूँ
न ग़म कुशूद ओ बस्त का
बुलंद का न पस्त का
न बूद का न हस्त का
न वादा-ए-अलस्त का
उम्मीद और यास गुम
हवास गुम क़यास गुम
नज़र से आस पास गुम
हमा-बजुज़ गिलास गुम
न मय में कुछ कमी रहे
क़दह से हमदमी रहे
नशिस्त ये जमी रहे
यही हमा-हामी रहे
वो राग छेड़ मुतरिबा
तरब-फ़ज़ा, अलम-रुबा
असर सदा-ए-साज़ का
जिगर में आग दे लगा
हर एक लब पे हो सदा
न हाथ रोक साक़िया
पिलाए जा पिलाए जा
अभी तो मैं जवान हूँ

  - Hafeez Jalandhari

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari