utho ab der hoti hai wahan chal kar sanwar jaana | उठो अब देर होती है वहाँ चल कर सँवर जाना

  - Hafeez Jalandhari

utho ab der hoti hai wahan chal kar sanwar jaana
yaqeeni hai ghadi do mein mareez-e-gham ka mar jaana

mujhe dar hai gulon ke bojh se marqad na dab jaaye
unhen aadat hai jab aana zaroor ehsaan dhar jaana

habaab aa saamne sab valvale josh-e-jawaani ke
gazab tha qulzum-e-ummeed ka chadh kar utar jaana

yahan juz kashti-e-mauj-e-bala kuchh bhi na paoge
isee ke aasre dariya-e-hasti se utar jaana

mabaada phir aseer-e-daam-e-aql-o-hosh ho jaaun
junoon ka is tarah achha nahin had se guzar jaana

hafiz aaghaaz se anjaam tak rehzan ne pahunchaaya
usi ko hum-safar paaya usi ko hum-safar jaana

उठो अब देर होती है वहाँ चल कर सँवर जाना
यक़ीनी है घड़ी दो में मरीज़-ए-ग़म का मर जाना

मुझे डर है गुलों के बोझ से मरक़द न दब जाए
उन्हें आदत है जब आना ज़रूर एहसान धर जाना

हबाब आ सामने सब वलवले जोश-ए-जवानी के
ग़ज़ब था क़ुल्ज़ुम-ए-उम्मीद का चढ़ कर उतर जाना

यहाँ जुज़ कश्ती-ए-मौज-ए-बला कुछ भी न पाओगे
इसी के आसरे दरिया-ए-हस्ती से उतर जाना

मबादा फिर असीर-ए-दाम-ए-अक़्ल-ओ-होश हो जाऊँ
जुनूँ का इस तरह अच्छा नहीं हद से गुज़र जाना

'हफ़ीज़' आग़ाज़ से अंजाम तक रहज़न ने पहुँचाया
उसी को हम-सफ़र पाया उसी को हम-सफ़र जाना

  - Hafeez Jalandhari

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari