tasleem mujh ko main tire paasang to nahin | तस्लीम मुझ को मैं तिरे पासंग तो नहीं

  - Hafeez Shahid

tasleem mujh ko main tire paasang to nahin
lekin tujhe naseeb mera rang to nahin

main kis liye faseel-e-badan mein chhupa rahoon
meri kisi ke saath koi jang to nahin

ghabra rahe ho kyun meri basti ka fasla
hai chand gaam saikdon farsang to nahin

bharte ho kis liye meri tasveer mein ye rang
mauj-e-shafaq ka rang mera rang to nahin

be-ehtiyaatiyon se tiri toot jaayega
dil ek aaina hai koi sang to nahin

phir kyun karoon khayal kisi aur des ka
mere liye zameen-e-watan tang to nahin

din raat apne aap se rahna khafa khafa
shaahid guzar-basar ka koi dhang to nahin

तस्लीम मुझ को मैं तिरे पासंग तो नहीं
लेकिन तुझे नसीब मिरा रंग तो नहीं

मैं किस लिए फ़सील-ए-बदन में छुपा रहूँ
मेरी किसी के साथ कोई जंग तो नहीं

घबरा रहे हो क्यूँ मिरी बस्ती का फ़ासला
है चंद गाम सैंकड़ों फ़रसंग तो नहीं

भरते हो किस लिए मिरी तस्वीर में ये रंग
मौज-ए-शफ़क़ का रंग मिरा रंग तो नहीं

बे-एहतियातियों से तिरी टूट जाएगा
दिल एक आइना है कोई संग तो नहीं

फिर क्यूँ करूँ ख़याल किसी और देस का
मेरे लिए ज़मीन-ए-वतन तंग तो नहीं

दिन रात अपने आप से रहना ख़फ़ा ख़फ़ा
'शाहिद' गुज़र-बसर का कोई ढंग तो नहीं

  - Hafeez Shahid

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Shahid

As you were reading Shayari by Hafeez Shahid

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Shahid

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari