kisi ne hamko diya hai ye mashwara behtar
jinhen ghuroor ho unse to fasla behtar
nibhe na ek se rishta to doosra behtar
hamein bata ke gaye hain ye rehnuma behtar
bharo udaan to udte raho fazaaon mein
zameen pe rengte rahne se vo khala behtar
kisi ke laakh uthaane pe bhi na uth paaya
sadaa-e-rind jo gooji main uth chala behtar
bujha bujha ke sabhi thak gaye magar ik roz
charaagh ban ke zamaane mein main jala behtar
kabhi milenge sanam ham to bas ye poochhenge
hamein to khaak mili tumko kya mila behtar
किसी ने हमको दिया है ये मशवरा बेहतर
जिन्हें ग़ुरूर हो उनसे तो फ़ासला बेहतर
निभे न एक से रिश्ता तो दूसरा बेहतर
हमें बता के गए हैं ये रहनुमा बेहतर
भरो उड़ान तो उड़ते रहो फ़ज़ाओं में
ज़मीं पे रेंगते रहने से वो ख़ला बेहतर
किसी के लाख उठाने पे भी न उठ पाया
सदा-ए-रिंद जो गूजी मैं उठ चला बेहतर
बुझा बुझा के सभी थक गए मगर इक रोज़
चराग़ बन के ज़माने में मैं जला बेहतर
कभी मिलेंगे सनम हम तो बस ये पूछेंगे
हमें तो ख़ाक मिली तुमको क्या मिला बेहतर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hameed Sarwar Bahraichi
our suggestion based on Hameed Sarwar Bahraichi
As you were reading Shama Shayari Shayari