yahan mazboot se mazboot loha toot jaata hai | यहाँ मज़बूत से मज़बूत लोहा टूट जाता है - Haseeb Soz

yahan mazboot se mazboot loha toot jaata hai
kai jhoote ikatthe hon to saccha toot jaata hai

na itna shor kar zalim hamaare toot jaane par
ki gardish mein falak se bhi sitaara toot jaata hai

tasalli dene waale to tasalli dete rahte hain
magar vo kya kare jis ka bharosa toot jaata hai

kisi se ishq karte ho to phir khaamosh raheiga
zara si thes se warna ye sheesha toot jaata hai

यहाँ मज़बूत से मज़बूत लोहा टूट जाता है
कई झूटे इकट्ठे हों तो सच्चा टूट जाता है

न इतना शोर कर ज़ालिम हमारे टूट जाने पर
कि गर्दिश में फ़लक से भी सितारा टूट जाता है

तसल्ली देने वाले तो तसल्ली देते रहते हैं
मगर वो क्या करे जिस का भरोसा टूट जाता है

किसी से इश्क़ करते हो तो फिर ख़ामोश रहिएगा
ज़रा सी ठेस से वर्ना ये शीशा टूट जाता है

- Haseeb Soz
3 Likes

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haseeb Soz

As you were reading Shayari by Haseeb Soz

Similar Writers

our suggestion based on Haseeb Soz

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari